Jo Bhi Kuchh Taq-e-KHayalat Pe Rah Jate Hain

jo bhi kuchh taq-e-KHayalat pe rah jate hain

zist ke KHeme usi baat pe rah jate hain

sham-e-saat ne bahut aks tarasha lekin

kuchh hayule dar-e-zulmat pe rah jate hain

dil ne to lashkar-e-shadab sambhaala hai magar

KHar-o-KHas phir bhi makanat pe rah jate hain

tishnagi aisi ki dariya ka lahu pi kar bhi

sabr ke qarz mukafat pe rah jate hain

raqs-e-nahid sar-e-shaKH tamasha na hua

aaine hosh ke jab hath pe rah jate hain

kab talak sina-e-sad-chaak ka matam hoga

sab ruke tesha-e-haalat pe rah jate hain

kaise tariKH bane koi hikayat 'amir'

hashiye aaj bhi safhat pe rah jate hain

(869) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Bhi Kuchh Taq-e-KHayalat Pe Rah Jate Hain In English By Famous Poet Amir Nazar. Jo Bhi Kuchh Taq-e-KHayalat Pe Rah Jate Hain is written by Amir Nazar. Read famous Poem Jo Bhi Kuchh Taq-e-KHayalat Pe Rah Jate Hain for youth and Student by Amir Nazar. Free Download Jo Bhi Kuchh Taq-e-KHayalat Pe Rah Jate Hain in PDF.