Jabin Ko Chain Kahan Zer-e-lab Dua Hai Bas

jabin ko chain kahan zer-e-lab dua hai bas

talab ki chah ka ek tu hi aasra hai bas

makin-e-KHak faqat shor-o-shar mein Dube hain

hayat kya hai ki aaraish-e-qaza hai bas

hisar-e-aks se niklen to apni sochen hum

abhi to pesh-e-nazar raqs-e-aina hai bas

shuur kahta hai us ko utarna hoga

urus-e-waqt pe pairahan-e-ana hai bas

ye ahl-e-fikr se kah do ki wusat-e-imkan

abhi bhi pa-e-tasawwur ka naqsh-e-pa hai bas

KHirad ke bas mein nahin dusre ka gham 'amir'

ghalat samajh hai junun ek walwala hai bas

(772) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jabin Ko Chain Kahan Zer-e-lab Dua Hai Bas In English By Famous Poet Amir Nazar. Jabin Ko Chain Kahan Zer-e-lab Dua Hai Bas is written by Amir Nazar. Read famous Poem Jabin Ko Chain Kahan Zer-e-lab Dua Hai Bas for youth and Student by Amir Nazar. Free Download Jabin Ko Chain Kahan Zer-e-lab Dua Hai Bas in PDF.