Nuqta-e-be-nur Ne Minhaj-e-imkan Kar Diya

nuqta-e-be-nur ne minhaj-e-imkan kar diya

tiliyon ke raqs ne itna to ehsan kar diya

dekhna baqi tha goya aainon ka intishaar

zindagi ko sang-zadon ne pareshan kar diya

ai sharar teri nigah-e-kaif ka tha moajiza

tira-tan dasht-o-jabal ko ru-e-taban kar diya

jab mere atraf-e-nadida fasilen khinch din

mere ehsasat ko sham-e-farozan kar diya

ahd-e-rafta ki tarashida nigahen kya milin

saat-e-be-KHwab ko bhi main ne hairan kar diya

sang-rezon ki ana se kab mujhe tha inhiraf

is liye lamhon ko 'amir' shisha-e-jaan kar diya

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nuqta-e-be-nur Ne Minhaj-e-imkan Kar Diya In English By Famous Poet Amir Nazar. Nuqta-e-be-nur Ne Minhaj-e-imkan Kar Diya is written by Amir Nazar. Read famous Poem Nuqta-e-be-nur Ne Minhaj-e-imkan Kar Diya for youth and Student by Amir Nazar. Free Download Nuqta-e-be-nur Ne Minhaj-e-imkan Kar Diya in PDF.