Mujhko KHamoshi-e-haalat Se Dar Lagta Hai

mujh ko KHamoshi-e-haalat se Dar lagta hai

ye mujhe daur-e-siyasat ka asar lagta hai

be-amal main tha magar rab ne mujhe baKHsh diya

ye meri man ki duaon ka asar lagta hai

jab se wo dur hua hai meri in aankhon se

dil mera dil nahin ujDa sa nagar lagta hai

jab se dekha hai tujhe khoya hua rahta hun

ye teri shoKH nigahon ka asar lagta hai

har taraf dard hai tariki udasi hai bahut

kis qadar saKHt ye sanson ka safar lagta hai

har ghaDi dard ke paiwand lage jate hain

ye mujhe mere gunahon ka asar lagta hai

ek naqsh aisa banaya hai teri yaadon ne

zehan se ruh talak tera hi ghar lagta hai

(1057) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko KHamoshi-e-haalat Se Dar Lagta Hai In English By Famous Poet Amir Riyaz. Mujhko KHamoshi-e-haalat Se Dar Lagta Hai is written by Amir Riyaz. Read famous Poem Mujhko KHamoshi-e-haalat Se Dar Lagta Hai for youth and Student by Amir Riyaz. Free Download Mujhko KHamoshi-e-haalat Se Dar Lagta Hai in PDF.