Ek Aafat-e-jaan Hai Jo Mudawa Mere Dil Ka

ek aafat-e-jaan hai jo mudawa mere dil ka

achchha koi phir kyun ho masiha mere dil ka

kyun bhiD lagai hai mujhe dekh ke betab

kya koi tamasha hai taDapna mere dil ka

bazar-e-mohabbat mein kami karti hai taqdir

ban ban ke bigaD jata hai sauda mere dil ka

gar wo na hue faisala-e-hashr pe raazi

kya hoga phir anjam KHudaya mere dil ka

kya kohkan o qais ko dete dam-e-taqsim

hissa tha gham-e-hausla-farsa mere dil ka

go main na rahun mahfil-e-jaanan mein magar roz

'taslim' yun hi zikr rahega mere dil ka

(867) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Aafat-e-jaan Hai Jo Mudawa Mere Dil Ka In English By Famous Poet Amirullah Tasleem. Ek Aafat-e-jaan Hai Jo Mudawa Mere Dil Ka is written by Amirullah Tasleem. Read famous Poem Ek Aafat-e-jaan Hai Jo Mudawa Mere Dil Ka for youth and Student by Amirullah Tasleem. Free Download Ek Aafat-e-jaan Hai Jo Mudawa Mere Dil Ka in PDF.