Fikr Hai Shauq-e-kamar Ishq-e-dahan Paida Karun

fikr hai shauq-e-kamar ishq-e-dahan paida karun

chahta hun ek dil mein do makan paida karun

tab-e-ali se agar auj-e-bayan paida karun

main zamin-e-sher mein bhi aasman paida karun

hun main wo dil-soKHta tasir-e-ah-e-garm se

gulshan-e-jannat mein bhi daur-e-KHizan paida karun

panw kahte hain tere kuche mein aa kar zoaf se

tu gira de aur main KHwab-e-giran paida karun

ab bhi tum aao to main aankhon mein bahr-e-yak-nazar

DhunD kar thoDi si jaan-e-na-tawan paida karun

main hun ai 'taslim' shagird-e-'nasim'-e-dahlawi

chahiye ustad ka tarz-e-bayan paida karun

(717) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fikr Hai Shauq-e-kamar Ishq-e-dahan Paida Karun In English By Famous Poet Amirullah Tasleem. Fikr Hai Shauq-e-kamar Ishq-e-dahan Paida Karun is written by Amirullah Tasleem. Read famous Poem Fikr Hai Shauq-e-kamar Ishq-e-dahan Paida Karun for youth and Student by Amirullah Tasleem. Free Download Fikr Hai Shauq-e-kamar Ishq-e-dahan Paida Karun in PDF.