Ghaib Se Sahra-nawardon Ka Mudawa Ho Gaya

ghaib se sahra-nawardon ka mudawa ho gaya

daman-e-dasht-e-junun zaKHmon ka phaha ho gaya

maut aai ji gae chhuT kar gham-o-andoh se

ye naya marna hai jis ka nam jina ho gaya

KHud ko bhi dekha na aankhen khol kar misl-e-habab

bahr-e-hasti mein faqat dam ka damama ho gaya

ye zamana wo nahin munh se nikale haq koi

yaad kar mansur par kya hashr barpa ho gaya

suraten kya kya na badlin mere soz-e-ishq ne

ashk aankhon mein bana honTon pe chhaala ho gaya

naz se chhati par us ne panw jis dam rakh diya

dil hua ThanDa kaleja hath bhar ka ho gaya

hum ne pala muddaton pahlu mein hum koi nahin

tum ne dekha ek nazar se dil tumhaara ho gaya

kahne ko majzub hum hain dil mein goya aur hai

nek-o-bad jo kuchh hamare munh se nikla ho gaya

jab se ai 'taslim' ki hai baiat-e-dast-e-subu

din saghar ho gaya iman mina ho gaya

(779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghaib Se Sahra-nawardon Ka Mudawa Ho Gaya In English By Famous Poet Amirullah Tasleem. Ghaib Se Sahra-nawardon Ka Mudawa Ho Gaya is written by Amirullah Tasleem. Read famous Poem Ghaib Se Sahra-nawardon Ka Mudawa Ho Gaya for youth and Student by Amirullah Tasleem. Free Download Ghaib Se Sahra-nawardon Ka Mudawa Ho Gaya in PDF.