Wasl Mein BigDe Bane Yar Ke Aksar Gesu

wasl mein bigDe bane yar ke aksar gesu

uljhe suljhe meri taqdir se shab bhar gesu

main na manunga ye zulmat use kis din ho nasib

ho gae honge sharik shab-e-mahshar gesu

kahne sunne se agar wasl hua bhi to kya

zid se baiThe wo banaya kiye shab bhar gesu

chahte hain ki pareshan pas-e-murdan bhi rahun

khol dete hain meri gor par aa kar gesu

uD chala aur bhi wo rashk-e-pari-zadan se

ban gae husn ke parwaz ko shahpar gesu

aarzu hai ki shab-e-qadr ho ya sham-e-ummid

kuchh dikhae na KHuda tere dikha kar gesu

ye bhi taqdir ke hain pech wagarna 'taslim'

mujh sa aazad ho paband-e-moambar gesu

(963) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wasl Mein BigDe Bane Yar Ke Aksar Gesu In English By Famous Poet Amirullah Tasleem. Wasl Mein BigDe Bane Yar Ke Aksar Gesu is written by Amirullah Tasleem. Read famous Poem Wasl Mein BigDe Bane Yar Ke Aksar Gesu for youth and Student by Amirullah Tasleem. Free Download Wasl Mein BigDe Bane Yar Ke Aksar Gesu in PDF.