Wasl Ki Shab Bhi Ada-e-rasm-e-hirman Mein Raha

wasl ki shab bhi ada-e-rasm-e-hirman mein raha

subh tak main iltimas-e-shauq-e-pinhan mein raha

mar gae lakhon shahid-e-naz kuchh parwa nahin

wo tamasha-e-hilal-e-id-e-qurban mein raha

kaam apna kar chuki bimari-e-ishq-e-butan

main fareb-e-nusKHa-o-tasir-e-darman mein raha

wah re pas-e-wafa allah ri sharm-e-arzu

har nafas hamrahi-e-umr-e-gurezan mein raha

kya paDhe ashaar 'taslim'-e-jigar-afgar ne

shor-e-tahsin har taraf bazm-e-suKHan-dan mein raha

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wasl Ki Shab Bhi Ada-e-rasm-e-hirman Mein Raha In English By Famous Poet Amirullah Tasleem. Wasl Ki Shab Bhi Ada-e-rasm-e-hirman Mein Raha is written by Amirullah Tasleem. Read famous Poem Wasl Ki Shab Bhi Ada-e-rasm-e-hirman Mein Raha for youth and Student by Amirullah Tasleem. Free Download Wasl Ki Shab Bhi Ada-e-rasm-e-hirman Mein Raha in PDF.