Thak Gae Tum Hasrat-e-zauq-e-shahadat Kam Nahin

thak gae tum hasrat-e-zauq-e-shahadat kam nahin

mujh se dam le lo agar tegh-e-sitam mein dam nahin

dardmandan-e-azal rakhte nahin darman ka gham

sina-e-sad-chaak gul minnat-kash-e-marham nahin

roz marte hain hazaron dekh kar nairang-e-husn

gar yahi aalam tumhaara hai to ye aalam nahin

mar miTe hum ishq ke shohre wahi hain chaar su

shor-e-ruswai pas-e-murdan bhi apna kam nahin

nala-e-atish-fishan yun hi agar hai auj par

tu nahin ai aasman-e-fitnagar ya hum nahin

be-sabaati par bahaar-e-bagh ki rota hai charKH

ru-e-gul par qatra-ha-e-ashk hain shabnam nahin

KHush hain mere marne se 'taslim' KHwesh o aqriba

KHana-e-shadi hai goya KHana-e-matam nahin

(724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thak Gae Tum Hasrat-e-zauq-e-shahadat Kam Nahin In English By Famous Poet Amirullah Tasleem. Thak Gae Tum Hasrat-e-zauq-e-shahadat Kam Nahin is written by Amirullah Tasleem. Read famous Poem Thak Gae Tum Hasrat-e-zauq-e-shahadat Kam Nahin for youth and Student by Amirullah Tasleem. Free Download Thak Gae Tum Hasrat-e-zauq-e-shahadat Kam Nahin in PDF.