KHuda Ki Kaun Si Hai Rah Behtar Jaanta Hai

KHuda ki kaun si hai rah behtar jaanta hai

maza hai nekiyon mein kya qalandar jaanta hai

bahut hamdard hain mere magar anjaan hain sab

mere zaKHmon ki haalat ko rafugar jaanta hai

kisi se main nahin kahta magar meri gharibi

meri diwaron ka ukhDa plastar jaanta hai

kabhi mandir kabhi masjid pe hai is ka basera

dharam insaniyat ka bas kabutar jaanta hai

sanam teri judai mein kaTa hai waqt mushkil

gine din hijr mein kitne calendar jaanta hai

kahin bhar peT roTi to kahin se hath KHali

kisi ki kaisi hai niyyat gadagar jaanta hai

main pyasa rah ke bhi minnat nahin karta kisi ki

bahut KHuddar hun main ye samundar jaanta hai

kisi bhi waqt ye mazlum kar denge baghawat

sitam ki ho chuki hai had sitamgar jaanta hai

rahen arthi se bahar hath us ka qaul hai ye

na kuchh bhi sath jaega sikandar jaanta hai

tumhaari yaad mein raaten kaTi hain mushkilon se

raha hun kitna main bechain bistar jaanta hai

na hoga dusra paida jahan mein koi gandhi

bahut achchhi tarah se porbandar jaanta hai

yahan hai bhiD mein bhi kis qadar har shaKHs tanha

tumhaare shahr ka har ek manzar jaanta hai

'ahad' jine ko to sab ji rahe hain is jahan mein

magar is zist ka matlab suKHnawar jaanta hai

(783) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHuda Ki Kaun Si Hai Rah Behtar Jaanta Hai In English By Famous Poet Amit Ahad. KHuda Ki Kaun Si Hai Rah Behtar Jaanta Hai is written by Amit Ahad. Read famous Poem KHuda Ki Kaun Si Hai Rah Behtar Jaanta Hai for youth and Student by Amit Ahad. Free Download KHuda Ki Kaun Si Hai Rah Behtar Jaanta Hai in PDF.