Duniya Ko Jab Nazdiki Se Dekha Hai

duniya ko jab nazdiki se dekha hai

tab samjha ye sab kuchh khel-tamasha hai

hathon ki do-chaar lakiren paDh kar ke

wo kahta hai aage sab kuchh achchha hai

us se pahli bar mila par hairan hun

dil mein tab se ghar kar ke wo baiTha hai

kaghaz par dil ki taswir bana kar ke

us ne puchha ye kis shai ka naqsha hai

soch raha hun main us ka sauda kar dun

us ki yaadon ka jo dil mein malba hai

donon pahlu mein hi haar chhipi is mein

mere hathon mein ab ye jo sikka hai

is KHatir main rose mashaqqat karta hun

aasani se kya hasil ho pata hai

jab qudrat ne thoDa aaj nawaza to

sare mujh se puchhe hain tu kaisa hai

'mit' yahan apne to nam ke apne hain

an-jaanon se rishta dil ka gahra hai

(773) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Ko Jab Nazdiki Se Dekha Hai In English By Famous Poet Amit Sharma Meet. Duniya Ko Jab Nazdiki Se Dekha Hai is written by Amit Sharma Meet. Read famous Poem Duniya Ko Jab Nazdiki Se Dekha Hai for youth and Student by Amit Sharma Meet. Free Download Duniya Ko Jab Nazdiki Se Dekha Hai in PDF.