Suraj Ki Pahli Kiran

sun ai hawa-e-be-dili

abhi to chashm-e-tar mein un ki suraten

rawan-dawan hain jin ke sans ki mahak

mein ja chuki bahaar ka nikhaar hai

ki jin ke KHwab ki chamak palak palak

bikharti aarzu mein paedar hai

abhi to un ki KHak ko zamin bhi nahin mili

sun ai hawa-e-be-dili

agarche is dayar mein har-ek-su

kai ruton ki gum-shuda bahaar ka fishaar hai

ghubar-e-intizar hai

magar ye zard ghaTiyan ye karwan-e-be-nishan

safar ki intiha nahin

dhuan dhuan hain jism-o-jaan magar zaban hai gul-fishan

ki dil abhi mera nahin

nazar mein hai wo fasl-e-gul jo ab talak nahin khili

sun ai hawa-e-be-dili

hamein usi zamin se rifaqat-e-yaqin hai

milegi kisht-e-arzu

ki raushni ki justuju mein raushni ka raaz hai

hamare ird-gird ki har ek shai sawal hai

un ungliyon ki por por sahab-e-kamal hai

alwidaa alwidaa ai be-dili

ki ye hamari dosti ka nuqta-e-zawal hai

(3144) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Suraj Ki Pahli Kiran In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Suraj Ki Pahli Kiran is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Suraj Ki Pahli Kiran for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Suraj Ki Pahli Kiran in PDF.