Hawa Hi Lau Ko GhaTati Wahi BaDhati Hai
hawa hi lau ko ghaTati wahi baDhati hai
ye kis guman mein duniya diye jalati hai
bhaTakne walon ko kya farq is se paDta hai
safar mein kaun saDak kis taraf ko jati hai
ajib KHauf ka gumbad hai mere chaar-taraf
meri sada mere kanon mein lauT aati hai
wo jis bhi rah se guzre jahan qayam kare
zamin wahan ki sitaron se bharti jati hai
ye zindagi bhi kahin ho na shahar-zad ka rup
shabana roz kahani nai sunati hai
(2098) Peoples Rate This