Agarche Koi Bhi Andha Nahin Tha

agarche koi bhi andha nahin tha

likha diwar ka paDhta nahin tha

kuchh aisi barf thi us ki nazar mein

guzarne ke liye rasta nahin tha

tumhi ne kaun si achchhai ki hai

chalo mana ki main achchha nahin tha

khuli aankhon se sari umr dekha

ek aisa KHwab jo apna nahin tha

main us ki anjuman mein tha akela

kisi ne bhi mujhe dekha nahin tha

sahar ke waqt kaise chhoD jata

tumhaari yaad thi sapna nahin tha

khaDi thi raat khiDki ke sirhane

dariche mein wo chand utra nahin tha

dilon mein girne wale ashk chunta

kahin ek jauhari aisa nahin tha

kuchh aisi dhup thi un ke saron par

KHuda jaise gharibon ka nahin tha

abhi harfon mein rang aate kahan se

abhi main ne use likkha nahin tha

thi puri shakl us ki yaad mujh ko

magar main ne use dekha nahin tha

barahna KHwab the suraj ke niche

kisi ummid ka parda nahin tha

hai 'amjad' aaj tak wo shaKHs dil mein

ki jo us waqt bhi mera nahin tha

(1935) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agarche Koi Bhi Andha Nahin Tha In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Agarche Koi Bhi Andha Nahin Tha is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Agarche Koi Bhi Andha Nahin Tha for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Agarche Koi Bhi Andha Nahin Tha in PDF.