Apne Ghar Ki KhiDki Se Main Aasman Ko Dekhunga

apne ghar ki khiDki se main aasman ko dekhunga

jis par tera nam likha hai us tare ko DhunDunga

tum bhi har shab diya jala kar palkon ki dahliz pe rakhna

main bhi roz ek KHwab tumhaare shahr ki jaanib bhejunga

hijr ke dariya mein tum paDhna lahron ki tahriren bhi

pani ki har satr pe main kuchh dil ki baaten likhunga

jis tanha se peD ke niche hum barish mein bhige the

tum bhi us ko chhu ke guzarna main bhi us se lipTunga

KHwab musafir lamhon ke hain sath kahan tak jaenge

tum ne bilkul Thik kaha hai main bhi ab kuchh sochunga

baadal oDh ke guzrunga main tere ghar ke aangan se

qaus-e-quzah ke sab rangon mein tujh ko bhiga dekhunga

be-mausam barish ki surat der talak aur dur talak

tere dayar-e-husn pe main bhi kin-min kin-min barsunga

sharm se dohra ho jaega kan paDa wo bunda bhi

baad-e-saba ke lahje mein ek baat mein aisi puchhunga

safha safha ek kitab-e-husn si khulti jaegi

aur usi ki lai mein phir main tum ko azbar kar lunga

waqt ke ek kankar ne jis ko akson mein taqsim kiya

aab-e-rawan mein kaise 'amjad' ab wo chehra joDunga

(1808) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Ghar Ki KhiDki Se Main Aasman Ko Dekhunga In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Apne Ghar Ki KhiDki Se Main Aasman Ko Dekhunga is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Apne Ghar Ki KhiDki Se Main Aasman Ko Dekhunga for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Apne Ghar Ki KhiDki Se Main Aasman Ko Dekhunga in PDF.