Apne Hone Ki Tab-o-tab Se Bahar Na Hue

apne hone ki tab-o-tab se bahar na hue

hum hain wo sip jo aazada-e-gauhar na hue

harf-e-be-saut ki manind rahe duniya mein

dasht-e-imkan mein khule naqsh-e-musawwir na hue

phul ke rang sar-e-shaKH-e-KHizan bhi chamke

qaidi-e-rasm-e-chaman KHak ke jauhar na hue

thak ke girte bhi nahin ghar ko palaTte bhi nahin

najm-e-aflak hue aas ke tair na hue

us ki galiyon mein rahe gard-e-safar ki surat

sang-e-manzil na bane rah ka patthar na hue

apni nakaam umidon ke KHam-o-pech mein gum

abr-e-kam-ab the hum rizq-e-samundar na hue

(811) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Hone Ki Tab-o-tab Se Bahar Na Hue In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Apne Hone Ki Tab-o-tab Se Bahar Na Hue is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Apne Hone Ki Tab-o-tab Se Bahar Na Hue for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Apne Hone Ki Tab-o-tab Se Bahar Na Hue in PDF.