Auron Ka Tha Bayan To Mauj Sada Rahe

auron ka tha bayan to mauj sada rahe

KHud umr bhar asir-e-lab-e-muddaa rahe

misl-e-habab bahr-e-gham-e-hadsat mein

hum zer-e-bar-e-minnat-e-ab-o-hawa rahe

hum us se apni baat ka mangen agar jawab

lahron ka pech-o-KHam wo khaDa dekhta rahe

aaya to apni aankh bhi apni na ban saki

hum sochte the us se kabhi samna rahe

gulshan mein the to raunaq-e-rang-e-chaman bane

jangal mein hum amanat-e-baad-e-saba rahe

surKHi bane to KHun-e-shahidan ka rang the

raushan hue to mashal-e-rah-e-baqa rahe

'amjad' dar-e-nigar pe dastak hi dijiye

is be-karan sukut mein kuchh ghalghala rahe

(810) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Auron Ka Tha Bayan To Mauj Sada Rahe In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Auron Ka Tha Bayan To Mauj Sada Rahe is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Auron Ka Tha Bayan To Mauj Sada Rahe for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Auron Ka Tha Bayan To Mauj Sada Rahe in PDF.