Dam-e-KHushbu Mein Giraftar Saba Hai Kab Se

dam-e-KHushbu mein giraftar saba hai kab se

lafz izhaar ki uljhan mein paDa hai kab se

ai kaDi chup ke dar o baam sajaane wale

muntazir koi sar-e-koh-e-nida hai kab se

chand bhi meri tarah husn-shanasa nikla

us ki diwar pe hairan khaDa hai kab se

baat karta hun to lafzon se mahak aati hai

koi anfas ke parde mein chhupa hai kab se

shobada-bazi-e-aina-e-ehsas na puchh

hairat-e-chashm wahi shoKH qaba hai kab se

dekhiye KHun ki barsat kahan hoti hai

shahr par chhai hui surKH ghaTa hai kab se

kor-chashmon ke liye aaina-KHana malum

warna har zarra tera aks-numa hai kab se

khoj mein kis ki bhara shahr laga hai 'amjad'

DhunDti kis ko sar-e-dasht hawa hai kab se

(1653) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dam-e-KHushbu Mein Giraftar Saba Hai Kab Se In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Dam-e-KHushbu Mein Giraftar Saba Hai Kab Se is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Dam-e-KHushbu Mein Giraftar Saba Hai Kab Se for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Dam-e-KHushbu Mein Giraftar Saba Hai Kab Se in PDF.