Dar-e-kaenat Jo Wa Kare Usi Aagahi Ki Talash Hai

dar-e-kaenat jo wa kare usi aagahi ki talash hai

mujhe raushni ki talash thi mujhe raushni ki talash hai

gham-e-zindagi ke fishaar mein teri aarzu ke ghubar mein

isi be-hisi ke hisar mein mujhe zindagi ki talash hai

ye jo sarsari si nashat hai ye to chand lamhon ki baat hai

meri ruh tak jo utar sake mujhe us KHushi ki talash hai

ye jo aag si hai dabi dabi nahin dosto mere kaam ki

wo jo ek aan mein phunk de usi shoalagi ki talash hai

ye jo saKHta se hain qahqahe mere dil ko lagte hain bojh se

wo jo apne aap mein mast ho mujhe us hansi ki talash hai

ye jo mel-jol ki baat hai ye jo majlisi si hayat hai

mujhe is se koi gharaz nahin mujhe dosti ki talash hai

(1847) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dar-e-kaenat Jo Wa Kare Usi Aagahi Ki Talash Hai In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Dar-e-kaenat Jo Wa Kare Usi Aagahi Ki Talash Hai is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Dar-e-kaenat Jo Wa Kare Usi Aagahi Ki Talash Hai for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Dar-e-kaenat Jo Wa Kare Usi Aagahi Ki Talash Hai in PDF.