Ghubar-e-dasht-e-talab Mein Hain Raftagan Kya Kya

ghubar-e-dasht-e-talab mein hain raftagan kya kya

chamak rahe hain andhere mein ustuKHwan kya kya

dikha ke hum ko hamara hi qash qash badan

dilase dete hain dekho to qatilan kya kya

ghuTi dilon ki mohabbat to shahr baDhne laga

miTe jo ghar to huwaida hue makan kya kya

palaT ke dekha to apne nishan-e-pa bhi na the

hamare sath safar mein the ham-rahan kya kya

halak-e-nala-e-shabnam zara nazar to uTha

numud karte hain aalam mein gul-ruKHan kya kya

kahin hai chand sawali kahin gada KHurshid

tumhaare dar par khaDe hain ye sailan kya kya

bichhaD ke tujh se na ji pae muKHtasar ye hai

is ek baat se nikli hai dastan kya kya

hai pur-sukun samundar magar suno to sahi

lab-e-KHamosh se kahte hain baadban kya kya

kisi ka raKHt-e-masafat tamam dhup hi dhup

kisi ke sar pe kashida hain saeban kya kya

nikal hi jaegi ek din madar se ye zamin

agarche pahre pe baiThe hain aasman kya kya

fana ki chaal ke aage kisi ki kuchh na chali

bisat-e-dahr se uTThe hisab-dan kya kya

kise KHabar hai ki 'amjad' bahaar aane tak

KHizan ne chaT liye honge gulistan kya kya

(853) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghubar-e-dasht-e-talab Mein Hain Raftagan Kya Kya In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Ghubar-e-dasht-e-talab Mein Hain Raftagan Kya Kya is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Ghubar-e-dasht-e-talab Mein Hain Raftagan Kya Kya for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Ghubar-e-dasht-e-talab Mein Hain Raftagan Kya Kya in PDF.