Ek Aazar Hui Jati Hai Shohrat Hum Ko

ek aazar hui jati hai shohrat hum ko

KHud se milne ki bhi milti nahin fursat hum ko

raushni ka ye musafir hai rah-e-jaan ka nahin

apne sae se bhi hone lagi wahshat hum ko

aankh ab kis se tahayyur ka tamasha mange

apne hone pe bhi hoti nahin hairat hum ko

ab ke ummid ke shole se bhi aankhen na jalin

jaane kis moD pe le aai mohabbat hum ko

kaun si rut hai zamane mein hamein kya malum

apne daman mein liye phirti hai hasrat hum ko

zaKHm ye wasl ke marham se bhi shayad na bhare

hijr mein aisi mili ab ke masafat hum ko

dagh-e-isyan to kisi taur na chhupte 'amjad'

Dhanp leti na agar chadar-e-rahmat hum ko

(859) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Aazar Hui Jati Hai Shohrat Hum Ko In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Ek Aazar Hui Jati Hai Shohrat Hum Ko is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Ek Aazar Hui Jati Hai Shohrat Hum Ko for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Ek Aazar Hui Jati Hai Shohrat Hum Ko in PDF.