Duriyan SimaTne Mein Der Kuchh To Lagti Hai

duriyan simaTne mein der kuchh to lagti hai

ranjishon ke miTne mein der kuchh to lagti hai

hijr ke dorahe par ek pal na Thahra wo

raste badalne mein der kuchh to lagti hai

aankh se na haTna tum aankh ke jhapakne tak

aankh ke jhapakne mein der kuchh to lagti hai

hadisa bhi hone mein waqt kuchh to leta hai

baKHt ke bigaDne mein der kuchh to lagti hai

KHushk bhi na ho pai raushnai harfon ki

jaan-e-man mukarne mein der kuchh to lagti hai

fard ki nahin hai ye baat hai qabile ki

gir ke phir sambhalne mein der kuchh to lagti hai

dard ki kahani ko ishq ke fasane ko

dastan banne mein der kuchh to lagti hai

dastaken bhi dene par dar agar na khulta ho

siDhiyan utarne mein der kuchh to lagti hai

KHwahishen parindon se lakh milti-julti hon

dost par nikalne mein der kuchh to lagti hai

umr-bhar ki mohlat to waqt hai taaruf ka

zindagi samajhne mein der kuchh to lagti hai

rang yun to hote hain baadalon ke andar hi

par dhanak ke banne mein der kuchh to lagti hai

un ki aur phulon ki ek si ridaen hain

titliyan pakaDne mein der kuchh to lagti hai

zalzale ki surat mein ishq war karta hai

sochne samajhne mein der kuchh to lagti hai

bhiD waqt leti hai rahnuma parakhne mein

karwan banne mein der kuchh to lagti hai

ho chaman ke phulon ka ya kisi pari-wash ka

husn ke sanwarne mein der kuchh to lagti hai

mustaqil nahin 'amjad' ye dhuan muqaddar ka

lakDiyan sulagne mein der kuchh to lagti hai

(1380) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duriyan SimaTne Mein Der Kuchh To Lagti Hai In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Duriyan SimaTne Mein Der Kuchh To Lagti Hai is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Duriyan SimaTne Mein Der Kuchh To Lagti Hai for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Duriyan SimaTne Mein Der Kuchh To Lagti Hai in PDF.