Kisi Ki Aankh Mein KHud Ko Talash Karna Hai

kisi ki aankh mein KHud ko talash karna hai

phir us ke baad hamein aainon se Darna hai

falak ki band gali ke faqir hain tare!

ki ghum phir ke yahin se unhen guzarna hai

jo zindagi thi meri jaan! tere sath gai

bas ab to umr ke naqshe mein waqt bharna hai

jo tum chalo to abhi do qadam mein kaT jae

jo fasla mujhe sadiyon mein par karna hai

to kyun na aaj yahin par qayam ho jae

ki shab qarib hai aaKHir kahin Thaharna hai

wo mera sail-e-talab ho ki teri ranai

chaDha hai jo bhi samundar use utarna hai

sahar hui to sitaron ne mund lin aankhen

wo kya karen ki jinhen intizar karna hai

ye KHwab hai ki haqiqat KHabar nahin 'amjad'

magar hai jina yahin par yahin pe marna hai

(1503) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ki Aankh Mein KHud Ko Talash Karna Hai In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Kisi Ki Aankh Mein KHud Ko Talash Karna Hai is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Kisi Ki Aankh Mein KHud Ko Talash Karna Hai for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Kisi Ki Aankh Mein KHud Ko Talash Karna Hai in PDF.