Kitni Sarkash Bhi Ho Sar-phiri Ye Hawa Rakhna Raushan Diya

kitni sarkash bhi ho sar-phiri ye hawa rakhna raushan diya

raat jab tak rahe ai mere ham-nawa rakhna raushan diya

raushni ka wazifa nahin wo chale rasta dekh kar

wo to aazad hai misl-e-mauj-e-saba rakhna raushan diya

raat kaisi bhi ho KHauf ke chor ki ghat kaisi bhi ho

apni ummid ka apne wishwas ka rakhna raushan diya

shab ki be-ant zulmat se laD sakti hai ek nannhi si lau

rah bhule huon ko hai bang-e-dara rakhna raushan diya

aashna ki sada ghup-andhere mein ban jati hai raushni

is shab-e-tar mein apni aawaz ka rakhna raushan diya

raushni ki shariat mein roz-e-azal se yahi darj hai

jot se jot jalti rahegi sada rakhna raushan diya

mujh se 'amjad' kaha jhilmilate hue aKHtar-e-sham ne

us ko aana hi hai wo zarur aaega rakhna raushan diya

(908) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitni Sarkash Bhi Ho Sar-phiri Ye Hawa Rakhna Raushan Diya In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Kitni Sarkash Bhi Ho Sar-phiri Ye Hawa Rakhna Raushan Diya is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Kitni Sarkash Bhi Ho Sar-phiri Ye Hawa Rakhna Raushan Diya for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Kitni Sarkash Bhi Ho Sar-phiri Ye Hawa Rakhna Raushan Diya in PDF.