Parde Mein Is Badan Ke Chhupen Raaz Kis Tarah

parde mein is badan ke chhupen raaz kis tarah

KHushbu na hogi phul ki ghammaz kis tarah

tarz-e-kalam un ka hua tarz-e-KHas-o-am

badlenge ab wo baat ka andaz kis tarah

badla jo us ki aankh ka andaz to khula

karte hain rang phul se parwaz kis tarah

aankhon mein kaise tan gai diwar-e-be-hisi

sinon mein ghuT ke rah gai aawaz kis tarah

wo haq-parast kaise hue maslahat-parast

naghmon se be-libas hue saz kis tarah

aankhon mein mom Dal ke baiThenge kab talak

aainon se chhupaenge ye raaz kis tarah

us ki nazar mein aks-e-talluq kahin nahin

'amjad' hadis-e-shauq ho aaghaz kis tarah

(1087) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parde Mein Is Badan Ke Chhupen Raaz Kis Tarah In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Parde Mein Is Badan Ke Chhupen Raaz Kis Tarah is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Parde Mein Is Badan Ke Chhupen Raaz Kis Tarah for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Parde Mein Is Badan Ke Chhupen Raaz Kis Tarah in PDF.