Parde Mein Lakh Phir Bhi Numudar Kaun Hai

parde mein lakh phir bhi numudar kaun hai

hai jis ke dam se garmi-e-bazar kaun hai

wo samne hai phir bhi dikhai na de sake

mere aur us ke beach ye diwar kaun hai

bagh-e-wafa mein ho nahin sakta ye faisla

sayyaad yan pe kaun giraftar kaun hai

mana nazar ke samne hai be-shumar dhund

hai dekhna ki dhund ke is par kaun hai

kuchh bhi nahin hai pas pe rahta hai phir bhi KHush

sab kuchh hai jis ke pas wo bezar kaun hai

yun to dikhai dete hain asrar har taraf

khulta nahin ki sahab-e-asrar kaun hai

'amjad' alag si aap ne kholi hai jo dukan

jins-e-hunar ka yan ye KHaridar kaun hai

(1672) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parde Mein Lakh Phir Bhi Numudar Kaun Hai In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Parde Mein Lakh Phir Bhi Numudar Kaun Hai is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Parde Mein Lakh Phir Bhi Numudar Kaun Hai for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Parde Mein Lakh Phir Bhi Numudar Kaun Hai in PDF.