Sae Dhalne Charag Jalne Lage

sae Dhalne charag jalne lage

log apne gharon ko chalne lage

itni pur-pech hai bhanwar ki girah

jaise nafrat dilon mein palne lage

dur hone lagi jaras ki sada

karwan raste badalne lage

us ke lahje mein barf thi lekin

chhu ke dekha to hath jalne lage

us ke band-e-qaba ke jadu se

sanp se ungliyon mein chalne lage

rah-e-gum-karda taeron ki tarah

phir sitare safar pe chalne lage

phir nigahon mein dhul uDti hai

aks phir aaine badalne lage

(1148) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sae Dhalne Charag Jalne Lage In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Sae Dhalne Charag Jalne Lage is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Sae Dhalne Charag Jalne Lage for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Sae Dhalne Charag Jalne Lage in PDF.