SainkaDon Hi Rahnuma Hain Rasta Koi Nahin

sainkaDon hi rahnuma hain rasta koi nahin

aaine chaaron taraf hain dekhta koi nahin

sab ke sab hain apne apne daere ki qaid mein

daeron ki had se bahar sochta koi nahin

sirf matam aur zari se hi jis ka hal mile

is tarah ka to kahin bhi masala koi nahin

ye jo sae se bhaTakte hain hamare ird-gird

chhu ke un ko dekhiye to wahima koi nahin

jo hua ye darj tha pahle hi apne baKHt mein

is ka matlab to hua ki bewafa koi nahin

tere raste mein khaDe hain sirf tujh ko dekhne

muddaa puchho to apna muddaa koi nahin

kun-fakan ke bhed se maula mujhe aagah kar

kaun hun main gar yahan par dusra koi nahin

waqt aisa ham-safar hai jis ki manzil hai alag

wo sarae hai ki jis mein Thaharta koi nahin

gahe gahe hi sahi 'amjad' magar ye waqia

yun bhi lagta hai ki duniya ka KHuda koi nahin

(2634) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

SainkaDon Hi Rahnuma Hain Rasta Koi Nahin In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. SainkaDon Hi Rahnuma Hain Rasta Koi Nahin is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem SainkaDon Hi Rahnuma Hain Rasta Koi Nahin for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download SainkaDon Hi Rahnuma Hain Rasta Koi Nahin in PDF.