Sham Dhale Jab Basti Wale LauT Ke Ghar Ko Aate Hain

sham Dhale jab basti wale lauT ke ghar ko aate hain

aahaT aahaT dastak dastak kya kya hum ghabraate hain

ahl-e-junun to dil ki sada par jaan se apni ja bhi chuke

ahl-e-KHirad ab jaane hum ko kya samjhane aate hain

jaise rail ki har khiDki ki apni apni duniya hai

kuchh manzar to ban nahin pate kuchh pichhe rah jate hain

jis ki har ek inT mein jazb hain un ke apne hi aansu

wae ki ab wo ahl-e-dua hi is mehrab ko Dhate hain

aaj ki shab to kaT hi chali hai KHwabon aur sarabon mein

aane wale din ab dekhen kya manzar dikhlate hain

sari umr hi dil se apna aisa kuchh bartao raha

jaise khel mein haarne wale bachche ko bahlate hain

na-mumkin ko mumkin 'amjad' ahl-e-wafa hi kar sakte hain

pani aur hawa par dekho kya kya naqsh banate hain

(1189) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sham Dhale Jab Basti Wale LauT Ke Ghar Ko Aate Hain In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Sham Dhale Jab Basti Wale LauT Ke Ghar Ko Aate Hain is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Sham Dhale Jab Basti Wale LauT Ke Ghar Ko Aate Hain for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Sham Dhale Jab Basti Wale LauT Ke Ghar Ko Aate Hain in PDF.