Soch Ke Gumbad Mein Ubhri TuTti Yaadon Ki Gunj

soch ke gumbad mein ubhri TuTti yaadon ki gunj

meri aahaT sun ke jagi saikaDon qadmon ki gunj

aankh mein bikhra hua hai jagte KHwabon ka rang

kan mein simTi hui hai bhagte sayon ki gunj

jaane kya kya daere bante hain mere zehan mein

kanp uThta hun main sun kar TuTte shishon ki gunj

rang mein Duba hua hai qarya-e-chashm-e-KHayal

baam-o-dar se phuTti hai KHushnuma chehron ki gunj

jate jate aaj 'amjad' panw patthar ho gae

hath par mere giri jab nargisi aankhon ki gunj

(887) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Soch Ke Gumbad Mein Ubhri TuTti Yaadon Ki Gunj In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Soch Ke Gumbad Mein Ubhri TuTti Yaadon Ki Gunj is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Soch Ke Gumbad Mein Ubhri TuTti Yaadon Ki Gunj for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Soch Ke Gumbad Mein Ubhri TuTti Yaadon Ki Gunj in PDF.