Ye Gard-baad-e-tamana Mein Ghumte Hue Din

ye gard-baad-e-tamana mein ghumte hue din

kahan pe ja ke rukenge ye bhagte hue din

ghurub hote gae raat ke andheron mein

nawed-e-amn ke suraj ko DhunDte hue din

na jaane kaun KHala ke ye istiare hain

tumhaare hijr ki galiyon mein gunjte hue din

na aap chalte na dete hain rasta hum ko

thaki thaki si ye shamen ye unghte hue din

phir aaj kaise kaTegi pahaD jaisi raat

guzar gaya hai yahi baat sochte hue din

tamam umr mere sath sath chalte rahe

tumhin ko DhunDte tum ko pukarte hue din

har ek raat jo tamir phir se hoti hai

kaTega phir wahi diwar chaTte hue din

mere qarib se guzre hain bar-ha 'amjad'

kisi ke wasl ke wade ko dekhte hue din

(962) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Gard-baad-e-tamana Mein Ghumte Hue Din In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Ye Gard-baad-e-tamana Mein Ghumte Hue Din is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Ye Gard-baad-e-tamana Mein Ghumte Hue Din for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Ye Gard-baad-e-tamana Mein Ghumte Hue Din in PDF.