Ye Jo Hasil Hamein Har Shai Ki Farawani Hai

ye jo hasil hamein har shai ki farawani hai

ye bhi to apni jagah ek pareshani hai

zindagi ka hi nahin Thor-Thikana malum

maut to tai hai ki kis waqt kahan aani hai

koi karta hi nahin zikr wafadari ka

in dinon ishq mein aasani hi aasani hai

kab ye socha tha kabhi dost ki yun bhi hoga

teri surat teri aawaz se pahchani hai

chain lene hi nahin deti kisi pal mujh ko

roz-e-awwal se mere sath jo hairani hai

ye bhi mumkin hai ki aabaadi ho is se aage

ye jo ta-hadd-e-nazar phailti virani hai

kyun sitare hain kahin aur kahin aansu hain

aankh walon ne yahi ramz nahin jaani hai

taKHt se taKHta bahut dur nahin hota hai

bas yahi baat hamein aap ko batlani hai

dost ki bazm hi wo bazm hai 'amjad' ki jahan

aql ko sath mein rakhna baDi nadani hai

(1265) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Jo Hasil Hamein Har Shai Ki Farawani Hai In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Ye Jo Hasil Hamein Har Shai Ki Farawani Hai is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Ye Jo Hasil Hamein Har Shai Ki Farawani Hai for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Ye Jo Hasil Hamein Har Shai Ki Farawani Hai in PDF.