Zindagi Dard Bhi Dawa Bhi Thi

zindagi dard bhi dawa bhi thi

ham-safar bhi gurez-pa bhi thi

kuchh to the dost bhi wafa-dushman

kuchh meri aankh mein haya bhi thi

din ka apna bhi shor tha lekin

shab ki aawaz be-sada bhi thi

ishq ne hum ko ghaib-dan kiya

yahi tohfa yahi saza bhi thi

gard-baad-e-wafa se pahle tak

sar pe KHema bhi tha rida bhi thi

man ki aankhen charagh thin jis mein

mere ham-rah wo dua bhi thi

kuchh to thi rahguzar mein sham-etalab

aur kuchh tez wo hawa bhi thi

bewafa to wo KHair tha 'amjad'

lekin us mein kahin wafa bhi thi

(1290) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Dard Bhi Dawa Bhi Thi In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Zindagi Dard Bhi Dawa Bhi Thi is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Zindagi Dard Bhi Dawa Bhi Thi for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Zindagi Dard Bhi Dawa Bhi Thi in PDF.