Ek Aur Mashwara

bastiyan hon kaisi bhi pastiyan hon jaisi bhi

har tarah ki zulmat ko raushni kaha jae

KHak Dalen manzil par bhul jaen sahil ko

ruKH jidhar ho pani ka us taraf baha jae

mulk bech Dalen ya aabru rakhen girwi

jaisa hukm-e-hakim ho us tarah kiya jae

shor mein sadaon ke ajnabi hawaon ke

kaun sunne wala hai? kis se ab kaha jae!

guftugu pe pahre hain har taraf kaTahre hain

raste muayyan hain har qadam pe likkha hai

kis jagah pe rukna hai! kis taraf chala jae

dil ki baat kahne ka ek yahi tariqa hai

chhup ke sari duniya se ab gharon ke konon mein

aap hi suna jae aap hi kaha jae

(1104) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Aur Mashwara In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Ek Aur Mashwara is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Ek Aur Mashwara for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Ek Aur Mashwara in PDF.