Ek Kamra-e-imtihan Mein

be-nigah aankhon se dekhte hain parche ko

be-KHayal hathon se

an-bane se lafzon par ungliyan ghumate hain

ya sawalname ko dekhte hi jate hain

sochte nahin itna jitna sar khujate hain

har taraf kanakhiyon se bach bacha ke takte hain

dusron ke parchon ko rahnuma samajhte hain

shayad is tarah koi rasta hi mil jae

be-nishan jawabon ka kuchh pata hi mil jae

mujh ko dekhte hain to

yun jawab copy par hashiye lagate hain

daere banate hain

jaise un ko parche ke sab jawab aate hain

is tarah ke manzar main

imtihan-gahon mein dekhta hi rahta tha

naql karne walon ke

nit-nae tariqon se

aap lutf leta tha doston se kahta tha

kis taraf se jaane ye

aaj dil ke aangan mein ek KHayal aaya hai

saikDon sawalon sa ek sawal laya hai

waqt ki adalat mein

zindagi ki surat mein

ye jo tere hathon mein ek sawal-nama hai

kis ne ye banaya hai

kis liye banaya hai

kuchh samajh mein aaya hai

zindagi ke parche ke

sab sawal lazim hain sab sawal mushkil hain

be-nigah aankhon se dekhta hun parche ko

be-KHayal hathon se

an-bane se lafzon par ungliyan ghumata hun

koi dekhta hai to

daere banata hun

hashiye lagata hun

ya sawal-name ko dekhta hi jata hun

(8306) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Kamra-e-imtihan Mein In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Ek Kamra-e-imtihan Mein is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Ek Kamra-e-imtihan Mein for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Ek Kamra-e-imtihan Mein in PDF.