Ek LaDki

gulab chehre pe muskurahaT

chamakti aankhon mein shoKH jazbe

wo jab bhi college ki siDhiyon se

saheliyon ko liye utarti

to aise lagta tha jaise dil mein utar rahi ho

kuchh is tayaqqun se baat karti thi jaise duniya

usi ki aankhon se dekhti ho

wo apne raste mein dil bichhati hui nigahon se hans ke kahti

tumhaare jaise bahut se laDkon se main ye baaten

bahut se barson se sun rahi hun

main sahilon ki hawa hun nile samundaron ke liye bani hun

wo sahilon ki hawa si laDki

jo rah chalti to aise lagta tha jaise dil mein utar rahi ho

wo kal mili to usi tarah thi

chamakti aankhon mein shoKH jazbe gulab chehre pe muskurahaT

ki jaise chandi pighal rahi ho

magar jo boli to us ke lahje mein wo thakan thi

ki jaise sadiyon se dasht-e-zulmat mein chal rahi ho

(3310) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek LaDki In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Ek LaDki is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Ek LaDki for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Ek LaDki in PDF.