Apni Hasti Ko Yahan Be-muddaa Samjha Tha Main

apni hasti ko yahan be-muddaa samjha tha main

kya samajhna chahiye tha aur kya samjha tha main

tum ko apne dard-e-dil ki gar dawa samjha tha main

kya ghalat samjha tha main bilkul baja samjha tha main

kis ghalat-fahmi mein apni umr sari kaT gai

ek wafa-na-ashna ko ba-wafa samjha tha main

kuchh na puchho rah-e-ulfat mein meri wamandgi

kakul-e-pechida ko zanjir-e-pa samjha tha main

us ka har har ghunT tha zahr-e-halahal se siwa

zindagi ko chashma-e-ab-e-baqa samjha tha main

sach hai 'najmi' ishq azin bisyar kardast-o-kunad

sar ka dena ek aain-e-wafa samjha tha main

(672) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Hasti Ko Yahan Be-muddaa Samjha Tha Main In English By Famous Poet Amjad Najmi. Apni Hasti Ko Yahan Be-muddaa Samjha Tha Main is written by Amjad Najmi. Read famous Poem Apni Hasti Ko Yahan Be-muddaa Samjha Tha Main for youth and Student by Amjad Najmi. Free Download Apni Hasti Ko Yahan Be-muddaa Samjha Tha Main in PDF.