Aashufta-nawai Se Apni Duniya Ko Jagata Jata Hun

aashufta-nawai se apni duniya ko jagata jata hun

diwana hun diwanon ko main hosh mein lata jata hun

ummid ki shamen rah rah kar main dil mein jalata jata hun

jab jal chukti hain ye shamen phir sab ko bujhata jata hun

tum dekh rahe ho maiKHane mein jurat-e-rindana meri

main KHud bhi pita jata hun tum ko bhi pilata jata hun

takmil-e-mohabbat karta hun kuchh garmi se kuchh narmi se

aahen bhi bharta jata hun aansu bhi bahata jata hun

be-kar sahi nale mere be-sud sahi aahen meri

main un ki nigahon mein lekin phir bhi to samata jata hun

han saz-e-shikasta mein mere naghmon ka talatum pinhan hai

shorida-nawai se apni mahfil par chhata jata hun

main sai-e-musalsal kar ke bhi manzil se koson dur raha

manzil na mili to kya hai magar apne ko pata jata hun

ummid-e-wafa ke pesh-e-nazar main un ki jafaen bhul gaya

hai mustaqbil par aankh meri mazi ko bhulata jata hun

qudrat bhi muhayya karti hai ab mere liye ibrat ke sabaq

har gam pe Thokar khata hun aur hosh mein aata jata hun

'najmi' ye KHamoshi bhi meri kuchh wajh-e-sukun-e-dil na hui

main zabt-e-fughan se dard ko apne aur baDhata jata hun

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aashufta-nawai Se Apni Duniya Ko Jagata Jata Hun In English By Famous Poet Amjad Najmi. Aashufta-nawai Se Apni Duniya Ko Jagata Jata Hun is written by Amjad Najmi. Read famous Poem Aashufta-nawai Se Apni Duniya Ko Jagata Jata Hun for youth and Student by Amjad Najmi. Free Download Aashufta-nawai Se Apni Duniya Ko Jagata Jata Hun in PDF.