Duniya Hai Ye Kisi Ka Na IsMein Qusur Tha

duniya hai ye kisi ka na is mein qusur tha

do doston ka mil ke bichhaDna zarur tha

us ke karam pe shak tujhe zahid zarur tha

warna tera qusur na karna qusur tha

tum dur jab talak the to naghma bhi tha fughan

tum pas aa gae to alam bhi surur tha

us ek nazar ke bazm mein qisse bane hazar

utna samajh saka jise jitna shuur tha

ek dars thi kisi ki ye fankari-e-nigah

koi na zad mein tha na koi zad se dur tha

bas dekhne hi mein thin nigahen kisi ki talKH

shirin sa ek payam bhi bainassutur tha

pite to hum ne shaiKH ko dekha nahin magar

nikla jo mai-kade se to chehre pe nur tha

'mulla' ka masjidon mein to hum ne suna na nam

zikr us ka mai-kadon mein magar dur dur tha

(707) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Hai Ye Kisi Ka Na IsMein Qusur Tha In English By Famous Poet Anand Narayan Mulla. Duniya Hai Ye Kisi Ka Na IsMein Qusur Tha is written by Anand Narayan Mulla. Read famous Poem Duniya Hai Ye Kisi Ka Na IsMein Qusur Tha for youth and Student by Anand Narayan Mulla. Free Download Duniya Hai Ye Kisi Ka Na IsMein Qusur Tha in PDF.