Meri Baat Ka Jo Yaqin Nahin Mujhe Aazma Ke Bhi Dekh Le

meri baat ka jo yaqin nahin mujhe aazma ke bhi dekh le

tujhe dil to kab ka main de chuka use gham bana ke bhi dekh le

ye to Thik hai ki teri jafa bhi ek ata mere waste

meri hasraton ki qasam tujhe kabhi muskura ke bhi dekh le

mera dil alag hai bujha sa kuchh tere husn par bhi chamak nahin

kabhi ek markaz-e-zist par unhen sath la ke bhi dekh le

mere shauq ki hain wahi ziden abhi lab pe hai wahi iltija

kabhi is jale hue tur par mujhe phir bula ke bhi dekh le

na miTega naqsh-e-wafa kabhi na miTega han na miTega ye

kisi aur ki to majal kya use KHud miTa ke bhi dekh le

kisi gul-e-fasurda-e-bagh hun mere lab hansi ko bhula chuke

tujhe ai saba jo na ho yaqin mujhe gudguda ke bhi dekh le

mere dil mein tu hi hai jalwa-gar tera aaina hun main sar-basar

yunhi dur hi se nazar na kar kabhi pas aa ke bhi dekh le

mere zarf-e-ishq pe shak na kar mere harf-e-shauq ko bhul ja

jo yahi hijab hai darmiyan ye hijab uTha ke bhi dekh le

ye jahan hai ise kya paDi hai jo ye sune teri dastan

tujhe phir bhi 'mulla' agar hai zid gham-e-dil suna ke bhi dekh le

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Baat Ka Jo Yaqin Nahin Mujhe Aazma Ke Bhi Dekh Le In English By Famous Poet Anand Narayan Mulla. Meri Baat Ka Jo Yaqin Nahin Mujhe Aazma Ke Bhi Dekh Le is written by Anand Narayan Mulla. Read famous Poem Meri Baat Ka Jo Yaqin Nahin Mujhe Aazma Ke Bhi Dekh Le for youth and Student by Anand Narayan Mulla. Free Download Meri Baat Ka Jo Yaqin Nahin Mujhe Aazma Ke Bhi Dekh Le in PDF.