Sar-e-mahshar Yahi Puchhunga KHuda Se Pahle

sar-e-mahshar yahi puchhunga KHuda se pahle

tu ne roka bhi tha bande ko KHata se pahle

ashk aankhon mein hain honTon pe buka se pahle

qafila gham ka chala bang-e-dara se pahle

han yahi dil jo kisi ka hai ab aaina-e-husn

waraq-e-sada tha ulfat ki jila se pahle

ibtida hi se na de zist mujhe dars is ka

aur bhi bab to hain bab-e-raza se pahle

main gira KHak pe lekin kabhi tum ne socha

mujh pe kya bit gai laghzish-e-pa se pahle

ashk aate to the lekin ye chamak aur taDap

in mein kab thi gham-e-ulfat ki jila se pahle

dar-e-mai-KHana se aati hai sada-e-saqi

aaj sairab kiye jaenge pyase pahle

raaz-e-mai-noshi-e-'mulla' hua ifsha warna

samjha jata tha wali laghzish-e-pa se pahle

(713) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar-e-mahshar Yahi Puchhunga KHuda Se Pahle In English By Famous Poet Anand Narayan Mulla. Sar-e-mahshar Yahi Puchhunga KHuda Se Pahle is written by Anand Narayan Mulla. Read famous Poem Sar-e-mahshar Yahi Puchhunga KHuda Se Pahle for youth and Student by Anand Narayan Mulla. Free Download Sar-e-mahshar Yahi Puchhunga KHuda Se Pahle in PDF.