Rah-rawi Hai Na Rahnumai Hai

rah-rawi hai na rahnumai hai

aaj daur-e-shikasta-pai hai

aql le aai zindagi ko kahan

ishq-e-nadan teri duhai hai

hai ufuq dar ufuq rah-e-hasti

har rasai mein na-rasai hai

shikwe karta hai kya dil-e-nakaam

aashiqi kis ko ras aai hai

ho gai gum kahan sahar apni

raat ja kar bhi raat aai hai

jis mein ehsas ho asiri ka

wo rihai koi rihai hai

karwan hai KHud apni gard mein gum

panw ki KHak sar pe aai hai

ban gai hai wo iltija aansu

jo nazar mein sama na pai hai

barq nahaq chaman mein hai badnam

aag phulon ne KHud lagai hai

wo bhi chup hain KHamosh hun main bhi

ek nazuk si baat aai hai

aur karte hi kya mohabbat mein

jo paDi dil pe wo uThai hai

nae safi mein ho na aalaish

yahi 'mulla' ki parsai hai

(766) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah-rawi Hai Na Rahnumai Hai In English By Famous Poet Anand Narayan Mulla. Rah-rawi Hai Na Rahnumai Hai is written by Anand Narayan Mulla. Read famous Poem Rah-rawi Hai Na Rahnumai Hai for youth and Student by Anand Narayan Mulla. Free Download Rah-rawi Hai Na Rahnumai Hai in PDF.