Der Lagi Aane Mein Tumko Shukr Hai Phir Bhi Aae To

der lagi aane mein tum ko shukr hai phir bhi aae to

aas ne dil ka sath na chhoDa waise hum ghabrae to

shafaq dhanak mahtab ghaTaen tare naghme bijli phul

is daman mein kya kya kuchh hai daman hath mein aae to

chahat ke badle mein hum to bech den apni marzi tak

koi mile to dil ka gahak koi hamein apnae to

kyun ye mehr-angez tabassum madd-e-nazar jab kuchh bhi nahin

hae koi anjaan agar is dhoke mein aa jae to

suni-sunai baat nahin ye apne upar biti hai

phul nikalte hain shoalon se chahat aag lagae to

jhuT hai sab tariKH hamesha apne ko dohraati hai

achchha mera KHwab-e-jawani thoDa sa dohrae to

nadani aur majburi mein yaro kuchh to farq karo

ek be-bas insan kare kya TuT ke dil aa jae to

(1904) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Der Lagi Aane Mein Tumko Shukr Hai Phir Bhi Aae To In English By Famous Poet Andaleeb Shadani. Der Lagi Aane Mein Tumko Shukr Hai Phir Bhi Aae To is written by Andaleeb Shadani. Read famous Poem Der Lagi Aane Mein Tumko Shukr Hai Phir Bhi Aae To for youth and Student by Andaleeb Shadani. Free Download Der Lagi Aane Mein Tumko Shukr Hai Phir Bhi Aae To in PDF.