Hansti Aankhen Hansta Chehra Ek Majbur Bahana Hai

hansti aankhen hansta chehra ek majbur bahana hai

chand mein sach-much nur kahan hai chand to ek virana hai

naz parastish ban jaega sabr zara ai shorish-e-dil

ulfat ki diwana-gari se husn abhi begana hai

mujh ko tanha chhoDne wale tu na kahin tanha rah jae

jis par tujh ko naz hai utna us ka nam zamana hai

tum se mujh ko shikwa kyun ho aaKHir basi phulon ko

kaun gale ka haar banae kaun aisa diwana hai

ek nazar mein duniya bhar se ek nazar mein kuchh bhi nahin

chahat mein andaz nazar hi chahat ka paimana hai

KHud tum ne aaghaz kiya tha jis ka ek tabassum se

mahrumi ke aansu ban kar KHatm pe wo afsana hai

yun hai us ki bazm-e-tarab mein ek dil gham-dida jaise

chaaron jaanib rang-mahal hain beach mein ek virana hai

(1004) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hansti Aankhen Hansta Chehra Ek Majbur Bahana Hai In English By Famous Poet Andaleeb Shadani. Hansti Aankhen Hansta Chehra Ek Majbur Bahana Hai is written by Andaleeb Shadani. Read famous Poem Hansti Aankhen Hansta Chehra Ek Majbur Bahana Hai for youth and Student by Andaleeb Shadani. Free Download Hansti Aankhen Hansta Chehra Ek Majbur Bahana Hai in PDF.