Firaq-e-yar Mein Kuchh Kahiye Samjhaya Nahin Jata

firaq-e-yar mein kuchh kahiye samjhaya nahin jata

dil-e-wahshi kisi surat se bahlaya nahin jata

hamin ne chun liye phulon ke badle KHar daman mein

faqat gulchin ke sar ilzam Thahraya nahin jata

sar-e-bazar ruswa ho gae kya hum na kahte the

kisi saudai ke munh is qadar aaya nahin jata

gareban tham lenge KHar to mushkil bahut hogi

gulabon ki rawish par itna iThlaya nahin jata

mahak jaegi meri KHamushi bhi bu-e-gul ho kar

nida-e-haq ko qaid-o-band mein laya nahin jata

udhar wo ahd-o-paiman-e-wafa ki baat karte hain

idhar mashq-e-sitam bhi tark farmaya nahin jata

'anis' uTTho nai fikron se rahen zau-fishan kar lo

maal-e-laghzish-e-mazi pe pachhtaya nahin jata

(856) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Firaq-e-yar Mein Kuchh Kahiye Samjhaya Nahin Jata In English By Famous Poet Anees Ahmad Anees. Firaq-e-yar Mein Kuchh Kahiye Samjhaya Nahin Jata is written by Anees Ahmad Anees. Read famous Poem Firaq-e-yar Mein Kuchh Kahiye Samjhaya Nahin Jata for youth and Student by Anees Ahmad Anees. Free Download Firaq-e-yar Mein Kuchh Kahiye Samjhaya Nahin Jata in PDF.