Jo Aaine Se Teri Jalwa-samani Nahin Jati

jo aaine se teri jalwa-samani nahin jati

kisi bhi dekhne wale ki hairani nahin jati

kabhi ek bar haule se pukara tha mujhe tum ne

kisi ki mujh se ab aawaz pahchani nahin jati

bhari mahfil mein mujh se pher li thin be-sabab nazren

wo din aur aaj tak un ki pashemani nahin jati

pise jate hain dil har-gam pe shor-e-qayamat se

KHiram-e-naz teri fitna-samani nahin jati

gawara hi na thi jin ko judai meri dam-bhar ki

unhin se aaj meri shakl pahchani nahin jati

wo mere hath ka shoKHi se jaana un ke daman tak

wo un ka naz se kahna ki nadani nahin jati

gareban ahl-e-wahshat ke siya karta tha hosh ek din

aur ab mujh se hi meri chaak-damani nahin jati

(711) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Aaine Se Teri Jalwa-samani Nahin Jati In English By Famous Poet Anees Ahmad Anees. Jo Aaine Se Teri Jalwa-samani Nahin Jati is written by Anees Ahmad Anees. Read famous Poem Jo Aaine Se Teri Jalwa-samani Nahin Jati for youth and Student by Anees Ahmad Anees. Free Download Jo Aaine Se Teri Jalwa-samani Nahin Jati in PDF.