Nazar Milte Hi Saqi Se Giri Ek Barq Si Dil Par

nazar milte hi saqi se giri ek barq si dil par

wo uTTha shor TuTe jam ki ban aai mahfil par

usi andaz se us ne likhi hai dastan dil par

gale mein pyar se bahen hamail aur chhuri dil par

koi ek hadisa ho gar karen hum zikr bhi us ka

guzarte hain yahan to hadse par hadse dil par

na manzil hai na jada hai na koi rahbar baqi

mera zauq-e-safar baqi hai ek hangama-e-dil par

tawaf-e-mah karna aur KHala mein sans lena kya

bharosa jab nahin insan ko insan ke dil par

wahi maujen jo mujh ko khinch kar lai hain tufan mein

unhen maujon ke sath ek rose mein pahunchunga sahil par

masarrat aur rahat se na thin ranaiyan kafi

'anis' ehsan gham ke bhi bahut hain na-tawan dil par

(788) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Milte Hi Saqi Se Giri Ek Barq Si Dil Par In English By Famous Poet Anees Ahmad Anees. Nazar Milte Hi Saqi Se Giri Ek Barq Si Dil Par is written by Anees Ahmad Anees. Read famous Poem Nazar Milte Hi Saqi Se Giri Ek Barq Si Dil Par for youth and Student by Anees Ahmad Anees. Free Download Nazar Milte Hi Saqi Se Giri Ek Barq Si Dil Par in PDF.