Mujh Pe Har Zulm Rawa Rakh Ki Main Jo Hun So Hun

mujh pe har zulm rawa rakh ki main jo hun so hun

mujh ko apne se juda rakh ki main jo hun so hun

main ki maslub hun de mujh ko bhi zalim ka KHitab

sunnat-e-isa jila rakh ki main jo hun so hun

mere ghar mein hai jo ghasib to nikalun ki nahin

mujh pe ilzam-e-jafa rakh ki main jo hun so hun

tere maqtul pe sargarm hain sare munsif

meri lashon ko uTha rakh ki main jo hun so hun

garm aahon pe hai ilzam ki hun shoala-nafas

mujh ko phunkon se bujha rakh ki main jo hun so hun

kyun sahifon mein likha hai ki milega insaf

lafz-o-mani na juda rakh ki main jo hun so hun

teri zambil mein har chaal purani hai raqib

mujh ko apnon se laDa rakh ki main jo hun so hun

apne wirse se tera qabza haTana hai haris

nam dahshat ki bala rakh ki main jo hun so hun

main ne aankhon mein jala rakha hai aazadi ka tel

mat andheron se Dara rakh ki main jo hun so hun

gar mera haq na milega to bigaD jaegi baat

apne pahlu se laga rakh ki main jo hun so hun

karbala rakh ke hatheli pe chala hun ghar se

baiat-e-zulm haTa rakh ki main jo hun so hun

jab zaminon mein jaDen hain to kidhar jaunga

meri shaKHen na kaTa rakh ki main jo hun so hun

adl ki miTTi mein ugte nahin dahshat ke babul

apni miTTi ko safa rakh ki main jo hun so hun

band aankhon se siyah-ru nazar aaega 'anis'

chashm-e-bina ko khula rakh ki main jo hun so hun

(714) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujh Pe Har Zulm Rawa Rakh Ki Main Jo Hun So Hun In English By Famous Poet Anees Ansari. Mujh Pe Har Zulm Rawa Rakh Ki Main Jo Hun So Hun is written by Anees Ansari. Read famous Poem Mujh Pe Har Zulm Rawa Rakh Ki Main Jo Hun So Hun for youth and Student by Anees Ansari. Free Download Mujh Pe Har Zulm Rawa Rakh Ki Main Jo Hun So Hun in PDF.