Nam Tera Bhi Rahega Na Sitamgar Baqi

nam tera bhi rahega na sitamgar baqi

jab hai firaun na changez ka lashkar baqi

apne chehron ko siyahi mein chhupane walo

nok-e-neza pe hai suraj sa koi sar baqi

tere wirse pe hain ghasib ki uqabi nazren

ghaflaton se nahin rahte ye jawahar baqi

ek sadaf sath-e-samandar pe baha jata hai

aur sahil pe nahin ek shanawar baqi

ek saf hon to banen sisa pilai diwar

hon adu ke liye rahen na kahin dar baqi

qadr kam hoti hai taqsim jo hota hai adu

hasil-e-jama mein barakat hai barabar baqi

jal phir laya hai sayyaad phansane ke liye

mil ke uD jaen parinde na rahe Dar baqi

zulm se sar ko na Takraen to phir sajda karen

han pata hai ki dar hoga na kahin sar baqi

hum shahidon ko kabhi murda nahin kahte 'anis'

rizq jannat mein mile shan yahan par baqi

(936) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nam Tera Bhi Rahega Na Sitamgar Baqi In English By Famous Poet Anees Ansari. Nam Tera Bhi Rahega Na Sitamgar Baqi is written by Anees Ansari. Read famous Poem Nam Tera Bhi Rahega Na Sitamgar Baqi for youth and Student by Anees Ansari. Free Download Nam Tera Bhi Rahega Na Sitamgar Baqi in PDF.